Welcome in Pyari Dunia...


01 October 2010

Meri Gudia

Aaj fir yad aata hai wo sunehra bachpan,
jab wo khel - khel me mujhse jhagda karti thi,
meri choti se jid ke liye maa se aksar lada karti thi,
kho jati the meri uljhi baton me,
jinhe kabhi main bhi nahi samajh pata tha,
unhe samjhne ke liye rato mujhe jagaya karti thi.

Kitabo me aksar bana liya karti the Pyari si Gudia,
khel - khel me jab wah uski saadi kar khus hua karti thi,
apni 50 paise ki tofi ke 25 paise uski saadi ke liye bacha liya karti thi,
magar aaj jab wah khud saadi kar kisi praye ghar chali gayi hai,
yaad aati hai mujhe bhi meri Pyari Gudia.

Bin uske suna hai ghar, suna aangan, suna har kona - kona
pagal ban, aaj bhi dhundta hu main apna bachpan ka khilona,
un aansuo ka kya mol lagau jo mujhse dur hote waqt in aankho me de gayi,
meri Pyari Dunia se naa jane kaha chali gayi wo
fir se aaj mujhe mera sunehra bachpan yaad dila gayi wo.

                                                                                             Aryannn...

No comments:

Post a Comment

Thanks for your comment.