Welcome in Pyari Dunia...


21 February 2011

Do chidiyon ki prem kahani

Ek din Chidiya, Chide se boli - mujhe chodh kar to tum kabhi ud to nahi jaoge?
Chida - ud jaun to tum pakad lena.
Chidiya - mai tumhe pakad sakti hu par fir dubara paa nahi sakti.

Chide ki aankho me aansu aa gaye aur usne apne pankh tod diye or bola ab ham hamesha sath rahenge.

Ek din jor se tufan aaya, Chidiya udne lagi.
Tabhi Chida bola tum ud jao, mai nahi ud sakta.

Chidiya - apna khayal rakhna kehkar ud gayi.
Jab tufan thama, aur Chidiya wapas aayi to usne dekha ki Chida mar chuka tha aur ek dali par likha tha -

"Kash wo ek bar to kehti ki mai tumhe nahi chodh sakti, to shayad mai us tufan ke aane se pehle nahi marta."

1 comment:

  1. kahani kafi achi hai

    per mera ek sawal hai ki, ladkiyan hamesha ladko ko dhoka kyu deti hai.....

    ReplyDelete

Thanks for your comment.